‘The count of the many years that passed by….’ Read beautiful couplets by Pooja Nair

Pooja Nair
Share this News:

Pooja Nair is a fourth-year student at Symbiosis School for Liberal Arts. Writing has been her passion since a young age and, life is what inspires her to write. She feels that literature makes us perceive things in a different way and makes our minds and imagination creative. Her feelings are best expressed through my writings.

Read the beautiful couplets written by her:

The count of the many years that passed by
Was almost the amount of my tears that had rolled by
While the reviews of the movies were highly graded
My interest in them slowly faded
And as much as I used to love the twilight
My evenings began to be filled with darkness and no light
As time started to get wasted
Thats the thing I really hated
Lying awake in the midst of the night
Hoping and praying for a ray of light
I tried and continue to try to carry this time with grace
And I also lied on the path so as to leave no trace
There were moments where I could not cherish the happiness I had
There were moments where I could not feel how happy I was
There were moments where there was total confusion all over my head
And these moments were where my confidence and patience were completely dead
While the comedy is that the emotion can be masked
The tragedy is that the truth is never asked
Now as this story is getting back to its shelf
The point it makes is that it has changed the way I see myself!
——————————————————
➢ Laakh minnathey jo ki thi, Ab hazaar koshishein kar li; Khuda se jo khushi chahti thi, Woh hasi ab maine khud se hi likh li!

➢ Ab tak toh raasta kat gaya hai, Manzil bhi mil jaayega; Ab tak toh yun hi chal gaya hai, Par aage kaise jaayega? Thoda haso, thoda muskuraayo, Toh safar bhi yaadgaar ho jayega!

➢ Bohot has liye, bohot muskuraaye, Bas ab thak gaye hai, Chalo asliyat pe aaye; Dimaag ka aadhesh hai, Ki hum darwaaze ke peeche hi roye, Kyunki aakhir iss toofaan-e-dil ka haal kis kisko bataye!

➢ Haan yeh waqt bohot bhaari hai Aur imtehaan abhi bhi jaari hai, Par jald hi zindagi kahegi, Ki chal, ab teri baari hai!

➢ Kuch kahani adhure reh jaate hai, Kuch khwaab adhure reh jaate hai, Aur inki wajah se humein zindagi hi adhuri lagti hai; Ek baar ke liye tham jao. Theher ke adhure chaand ko dekho. Kya ab bhi yahi kahoge, ki adhura khoobsoorat nahi lagta?

➢ Duniya khoob yeh kehti hai, Ke tum galat ho, sahi nahi. Duniya ka yahi masla hai, Par yeh galat hai, sahi nahi. Zindagi tumhaari hai janaab! Yahaan sirf apne dil ka sunna hota hai, Kyunki woh humesha sahi hai, galat nahi!

➢ Woh toh badnaseeb hai hi, Jo dhalte hue sooraj mein, Fiza ka maza na le paaye. Par asli badnaseeb toh woh hai, Joh haseen chaand mein bhi daag hi dekh paaye!

➢ Duniya nahi jaane mere dil ka haal, Har baar pooche wahi sawaal. Thak gayi hu main dete dete wahi jawaab, Bas ab mujhe woh raasta dhoondna hai, Jo poora kare mera khwaab!

➢ Ek baar mein paani ki gehraayi nahi jaan sakte hai, Toh ek mulaaat mein hum kisika haal-e-dil kaise jaan sakte hai? Aur agar dil jaanne mein waqt lagta hai, Toh ek hi jhalak mein, Pyaar kaise ho sakta hai?

➢ Aadhe gile, aadhe sookhe, Hum bhi ek chhatri mein chalte the. Bheegna toh dono ko pasand tha magar, Sirf saath ke liye ek chhatri mein chalte the. Phir? Phir baarish ka matlab badal gaya, Meri chhatri udd gayi, Aur sirf yaadon ka saath reh gaya. Zyaada toh kuch nahi badla, Magar hum waise chalna bhool gaye, Jaise hum pehle chalte the!

➢ Yeh waqt jo abhi guzra hai, Ismein kaafi kuch bikhra hai. Haalaat badle ya na badle, Nazariya zaroor badla hai!

➢ Andaaza hai ke tu yahi kahi baadlon mein rehta hai, Tabhi toh dard mein yeh aasmaan meri nigahein kheench leta hai! Ek ajeeb sa sukoon milta hai, Khushiyon ki talaash ko ek alag hi junoon milta hai. Apno ke un chehron ki muskuraahat yaad dilata hai, Aur… Tere saath hone ka ehsaas dilaata hai!

⇒ Paheli